jinke akhlaq acche or kirdar umda ho unki sohbat talash karo zaruri nahi jinke ird gird bheer jama ho wohi sahi ho bheer to khel dikha ke madari bhi jama karleta hai
Usay Khone Se Darta Tha Bohat Rone Se Darta Tha Phir Ek Din Ye Samajh Aaya Ke Roya Un Ko Jata Hai Bichre Jo Muqaddar Se Ke Khoya Unko Jata Hai Jo Hasil Hon Muyassar Hon Jo Danista Bichar Jaye Usay Roya nahi Karte Jisay Paaya Nahi Ab Tak Usay Khoya Nahi Karte
Maa Mera Qasoor Nahi Tha Ek Uncle Se Toffee Li Thi Hath Mere Jo Sar Par Phera Mai Samjhi Insan Hi Hoga Uski Bhi Koi Beti Hogi Shyad Mere Jaisi Hogi Mujhko Ghar Se Door Le Aya Usne Achanak Lehja Badla Moo Mera Jo band Kiya To Phir Mujhe Kuch Maloom Nahi Tha Maa Mera Qasoor Nahi Tha Ek Uncle Se Toffee Li Thi
Comments
Post a Comment